Sunday 20 May 2012









mere mijaz ko usne meri kaifiyat samjha . .
Meri to fitrat me hi badal jana tha . . . .

wo parwana hai mera kaynaat kehti hai..........
mujhe jalkar shama sa pighal jana tha,........

chahat ki aag mein kaun bacha hai ab tak........
ishq-e-aag me mujhe khud-b khud jal jana tha......

Uski shaksiyat hai suraj si ujali . . .
Mujhe to raat ke chand sa tanha hi dhal jana tha . . . .

Ashiq to kai hue afsane bhi kai bane . . .
Sabki kismat mein goya ki bichad jana tha . . . . .

No comments:

Post a Comment