Sunday, 20 May 2012




wo khamosh manzar tha ,,us sheher ka har sheh...
us sheher me koi shaks nahi tha jisko ehsaas ho..
kehne ko bahut tarraki kar li hai humne ...
lekin hum kisi ko usko haq kyu nahi dete...

har simt me log ,,ladaiyan,, dushwariyan ...
itne matbhed hai,,, logon me taqrar hai..
bechargi ka yeh aalam ..bechare log ....
logo ko tum ab utha kyu nahi dete ...

koi sahe to kitna ,,kahi to had ho jati...
sehenshakti ke naam par atyachaar ....
sarkar ka bhrashtachaar ....
logo ko unki had kyu nahi dete ...

mana ki duniya ab simatne ko hai...
kuchh fasle hai ,,,aur kuchh duriyan simatne ko hai,,
jaha bhi dekho log apni hi karte hai,,,,
kahi to koi gucha khila kyu nahi dete.......


No comments:

Post a Comment