बाम्हन चिरई
Sunday, 26 August 2012
AAJ KE SAMAAJ ME AURTON PAR HONE WALE ATYACHAR PAR KEHNE KI...
KISI KA DIL DUKHANE KI NIYAT NAHI HAI HAMARI...
EK SOCH HAI... BAHUT SOCHA HAI IS BAARE ME ... LOGO KI KUNTHA ... AURTO KA SOSHAN ..
bas us par ye qalam dedicated hai.... ek guzarish ke saath ki hum bhi insaan hai... aur hamare bhi jazbaat hain... plsss hume bhi insaan hi samjhe ...
*****************************
TOD DE ZULMO SITAM KA YE QAFAS
ZULM KARNA AABRO PE AB KI BAS
...
KYA SUNAUN MAI KISI KO DASTAA'N...
RO RAHI INSAANIYAT BADHTI HAWAS .....
AADMI AB HO GAYAA KAISAA NAJIS ,,,
ZINDAGI BADNAAM HAI ITNI KI BAS ....
ROZ LOOTI JA RAHI BAAZAAR MEIN,,,
KOI KHAYE IS KI HAALAT PAR TARAS ...
IK DAFA TO SOCH KAR DEKHO ZARAA ...
AB NAHI TO KAB DIKHAOGE DARAS ...........
KOI TO BAN JAYE APNA REHNUMA ...
AUR DE DE IN GAREEBON KO DARAS ...
YA KHUDA KAISA BANAYA YE JAHA'N ...
BADH RAHI HAI AAJ INSAA'N KI HAVAS ....
AADMI PAR BAS YE IK ILZAAM HAI...
IN SAWOLO'N PAR KARO THODI BAHAS ....
HAI "" MAHEK " KI AIY KHUDA FARIYAAD YE ...
KYA MILA MUJHKO BAJAA KAR YE JARAS ......
Avani Asmita Sharma "MAHEK"
***********************************
Qafas == pinjra...
Najis == Napaak ...
Daras == darshan ...
Jaras == Mandir ki ghanti...
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment