Thursday, 23 August 2012

AAHNI KIRDAR LEKIN DIL BAHOT HI NARM HAI,
JISKI CHAHAT PAR MERI ULFAT KI MANZIL KHATM HAI,

USKI YADEN, USKI BATEN, USKA YE MAKR O FAREB,
KUL MILA KAR MERE DIL KE WASTE EK ZAKHM HAI,

DUNIYA WALE HON MUKHALIF LAKH BAZME ISHQ KE,
AAJ BHI DUNIYA ME SAJTI AASHIQON KI BAZM HAI,

ISHQ BHI WO AAG HAI JIS AAG KO KUCHH BHI NA PUCHH,
SHIDDAT E GARMI SE USKI ZINDIGANI BHASM HAI,

KUCHH NAZAR AATA NAHI UNKE ALAWA CHAAR SOO,
HAR TARAF UNKE KHAYALON KI MAHAKTI BAZM HAI,

HAI" MAHEK" UNKI MAHEK SE SARI DUNIYA KI MAHEK,
WARNA YE KHUSHBOO TO MERE WASTE BAS RASM HAI,

*******************************************

आहनी किरदार लेकिन दिल बहुत ही नर्म है ,
जिसकी चाहत पर मेरी उल्फत की मंजिल ख़त्म है ,

उसकी यादें , उसकी बातें , उसका ये मक्र ओ फरेब ,
कुल मिला कर मेरे दिल के वास्ते एक ज़ख्म है ,

दुनिया वाले हों मुखालिफ लाख बज्मे इश्क के ,
आज भी दुनिया में सजती आशिकों की बज़्म है ,

इश्क भी वो आग है जिस आग को कुछ भी न पूछ ,
शिद्दत ए गर्मी से उसकी जिंदगानी भस्म है ,

कुछ नज़र आता नहीं उनके अलावा चार सू ,
हर तरफ उनके ख्यालों की महकती बज़्म है ,

है " महक " उनकी महक से सारी दुनिया की महक ,
वरना ये खुशबू तो मेरे वास्ते बस रस्म है ,

Avani Asmita Sharma "" mahek ""

Tuesday, 14 August 2012

Posheeda hai gamo me hamari khushi ka raaz . . . .
Usko dikha nahi kyu meri kami ka raaz . . . .

Kaate bagair saath umr ke safar ko hum . .
Pucho na mehfilon me merì zindagi ka raaz . . .

Kya chand ki chamak rahe sooraj ki lau bina . . . .
Aa raat me dikha du'n tujhe chandani ka raaz . . . .

Sailaab pyar ka bahe jab door door se . . .
Aaja ki dekh aake meri tishnagi ka raaz . . , .

Bebas nahi . . Beqas nahi main raah ishq me . . . .
Logo se kya kahu apnì bebasi ka raaz . . . .

Humse sabab n pooch insano ke tu "mahek ". . . . .
Kya aadmi bhi jaan sakaa aadmi ka raaz. . .

Avani Asmita Sharma "MAHEK"

Saturday, 28 July 2012







Kahe'n kya tere hum sitam dekhte hai....
Nasibi hamaari .... karam dekhte hai...

Ajab hai muhabbat .. ajab ye qayamat...
Nazar me'n tumhaari sanam dekhte hai...

Badi der kar di... Jataane me'n tumne ....
karoge inayat ... Karam dekhte hai...

N Nada'n hu'n mai'n N paagal kaho mujh ko...
Adaaye'n Nazar Se ,,bharam dekhte hai'n...

kabhi tum miloge .. kisi to janam me'n...
khushi me'n ki Agle Janam Dekhte Hain...

diye zakhm tumne...Kahenge Kise hum...
Mahek ki Nigaahe'n ye  gam dekhte hai..

Monday, 23 July 2012

ki tera naam ho jaye mera bhi kaam ho jaye,
sare bazar tu meri tarha badnam ho jaye....

kisi mahfil me tere raaz agar mai khol kar rakh dun,
tamasha tum bano, charon taraf kohraam ho jaye.....

sada mana hai maine dil ko tere ghar hai ye mera,
tujhe bhi kaash meri baat ka ilhaam ho jaye....

agar gahra hai darya e mohabbat fikr kya karna,
utar jana bhale hi maut hi anjaam ho jaye...

chalo ab peshe khidmat hai ye gazal apni....
tumhara bhi " mahek" ab shayron me naam ho jaye.....

avani asmita "mahek "

Sunday, 22 July 2012

***************************************************************************

    chalo chaahat kaa hum apne , tumse izhaar karte hai . . . .
    Diya hai humhe dil tumko, tumhi se pyar karte hai'n . . . , . .

    Abhi naadaa'n hu'n mai'n humdum ,  tumhe kaise bata deti , . . .
    Abhi jaana hai dard-e-dil ,tumhe ikraar karte hai'n . . . . . . . . .

    Nazar bhar dekha jo tumko,  mera dil haath se nikla . . . . .
    Lakeero'n me'n meri tum ab ho , ye izraar karte hai'n . . , . .

    Hamaari raaho'n me'n ab jo bhi mushkil ho, haraa denge . . .
    Sanam ab lakho'n kaanto'n se , raste purkhar karte hai'n. . . . .

    'Mahek' ke dil ki dharkan ho tumhi ko dekh kar ji lu'n,
    hame tumse mohabbat hai kahan inkaar karte hai'n. . . . . . . . .

*****************************************************************************

Sunday, 8 July 2012


ISHQ KI HAD SE BHI WAQT AAYE TO GUZAR JAUNGA ....
KAUN KEHTA HAI KE MAUT AAYI TO MAR JAUNGA ...


EK TUKDA HU'n MAI'n BHI TOOT CHUKE TERE AAYINE KA
HAATH SE CHHOROGE TO FARSH PE MAI'n BIKHAR JAUNGAA ...

NAA GIRA YU"N APNI IN NAZAR SE MUJHKO DILBAR ...
KE KHUDAYA APNI HI NIGAHO'n SE MAIN GIR JAUNGA .......

AA MILA KHUD SE APNE MUJHE TU AISE HUMDUM....
KE TIREE SANGE- SE SAATH SE MAI'n BHI SANWAR JAUNGA ...


KISMATO'n KA LEKHA -JO MITANA NA HO MUMKIN ...
SAATH TERA MUJHKO JAB MILEGA TO BHI TAR JAUNGA ...........

TUM MUJHE KHUD SE YU'n DOOR KAR DO NA FIR ....
YU'n BICHAD KE JANE N MAI'n KIDHAR JAUNGA ....

DIL DIYAA HAI TAB YE ZAKHM KHAYE HAI MAINE....
EK DIN-O-PAL AAYEGAA NAAM JAA'n BHI KAR JAUNGA .................

Monday, 2 July 2012





Tanhai k samandar me LAASH ho gayi hu
kisi ke jalti hui rooh ki PYAAS ho gayi hu
registaan ki tapti Ret me,,, marichika ki TALASH ho gayi hu
patjhad me toot k ,, mai PALAASH ho gayi hu