Saturday, 15 December 2012

gam agar shamile hayat nahiN..



Apne Ustaad ki DuaoN ki tufaill.... ahle-bazm ki baseeratoN ke hawale...

IK GAZAL ... IK KOSHISH ...

----------------------------------------------
hath meN tere mera hath nahiN
jab nahiN too, to kaaynaat nahiN...

ab bhi too too hai or meN meN hoon
phir bhi pehla sa iltifaat nahiN...

khwab mere bhi ho gaye murda
teri aaNkhoN meN bhi hayat nahiN...

sochti hooN kabhi kabhi yuN bhi
kyuN wo pehle se din-o-raat nahiN...

dostoN ki muhabbatoN ke sabab...
uljhanon se mujhe nijaat nahiN...

manti hoon tujhi ko ab bhi khuda..
tujh se badhkar to meri zaat nahin...

hai ajab uljhanoN men har rishta
baat to ye hai koi baat nahiN...

pyar to khud hi ek mazhab hai...
pyar ki koi zaat -paat nahiN....

zaat to bas khuda ki hai pagal ...
aadmi ki to koi zaat nahiN....

zindagi ki har ik khushi be kaif
gum agar shamile hayat nahiN...

ab "mahek" ye samajh meN aaya hai...
maut ke samne hayat nahiN...

-------------------------------------------

Avani Asmita Sharma -mahek

No comments:

Post a Comment