Monday 26 November 2012

zakhM gayaB haiN bazaahir mere












BA-waqar Shayar .... azeem Fan-o-fikr ke maalik Janab Saalim Shuja Ansari sahab... aur apne ustaad ke sarparasti meN ek koshish...

----------------------------------------------------------
Jo khayalaat the aakhir mere.....
ho gaye sher se zaahir mere...

shayari kaise gazal kaise ho...
sher hone ko haiN qasir mere .....

aaj jazbaat bhi berang haiN kyuN ....
bhar koi rang musawwir mere ...

kam tajurbaa hai mujhe jeene me ...
kaise jazbe hoN muassir mere ....

roz aate ho mire khwaboN meN...
kaun lagte ho tum aakhir mere .....

is tarah baaNt liya he rab ko...
masjideN teri haiN mandir mere...

ab mujhe arsh pe ud lene do..
par katarne lage tum phir mere....

dard ki de to chuke ho saughaat....
aaj kya laye ho khaatir mere .....

zindagi aaj bahut yaad aayi ..
maut dar par hui haazir mere ..

raaz ko raaz bana kar rakhte .....
aap humraaz the aakhir mere ....

aankh meN noor abhi baqi he..
chhot jaane de manazir mere ...

rooh par ab bhi nishaN baqi he....
""zakhm gayab haiN bazaahir mere ""

raam rehta he mire seene meN ...
aye "MAHEK" dil me he mandir mere ....

*****************************

Meanings....

akhir = atleast ...
qasir= incomplete.. adhoore
musawwir=painter ,, chitrakaar
mua'ssir - effective.. asardaar
zahir -obvious,,  saaf -
manazir--landscape,, visual aid
khatir- sake.. khayal.. lehaaz...